is tarah tujh ko chahta hun main zindagi jaise mangta hun main us ke bare mein kya bataunga khud ko bhi kam hi jaanta hun main log to dhup bhi nahin dete apna saya bhi bantta hun main ab tabahi meri yaqini hai tera har raaz jaanta hun main main ki har bar qatl hota hun har siyasat ko jaanta hun main main kadi dhup mein kahan mahfuz ped hun saya bantta hun main