is tarah TuT kar gira pani

By zafar-zaidiNovember 27, 2020
is tarah tut kar gira pani
baadalon mein nahin bacha pani
ghar banaya to tha bulandi par
phir bhi aangan mein bhar gaya pani


lad-jhagad kar kabhi to aag bana
aur kabhi barf ban gaya gaya pani
mujh ko apne hi shahr ka yaro
ras aaya nahin hawa pani


log diwana-war tut pade
muddaton baad jab mila pani
hath thame hue hawaon ka
raste mein hamein mila pani


ek bhi bund khet ko na mili
sab hawaon ne pi liya pani
le ke chullu mein main ne phenk diya
munh mera dekhta raha pani


muddaton se main tishna-lab tha 'zafar'
phir bhi sab ko pila diya pani
22911 viewsghazalEnglish