is waqt bare kuchh to karam-bakhshi kijiye guzre hum aur baat se gali hi dijiye sabr aur din-o-dil to tum aage hi le chuke baqi hai jaan hamari so ab ye bhi lijiye dewe wo jam ghair kun yun mere samne ye dekh kyunki khun-e-dil apna na pijie naseh ye kya hisab ki main jeb ko silaun behtar hai aap munh ke tain apne si jiye patthar bhi bilke dekh 'jahandar' ka ye haal pyare kabhu to aap bhi is par pasijiye