is waste adam ki manzil ko dhundte hain muddat se doston ki mahfil ko dhundte hain ye dil ke par ho kar phir dil ko dhundte hain tir-e-nigah us ke bismil ko dhundte hain ek lahr mein na the hum kyun ai habab dekha yun aankh band kar ke sahil ko dhundte hain tarz-e-karam ki shahid hain mewa-dar shakhen is tarah sar jhuka kar sail ko dhundte hain hai wasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun mahmil mein baithe hain aur mahmil ko dhundte hain tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho manzil pe bhi pahunch kar manzil ko dhundte hain hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb mein bhi madum ki hawas hai zail ko dhundte hain uthte hain walwale kuchh har bar dard ban kar kya jaaniye jigar ko ya dil ko dhundte hain zakhm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko marta hun main ki ye kyun qatil ko dhundte hain ahl-e-hawas ki kashti yak baam o do hawa hai dariya-e-ishq mein bhi sahil ko dhundte hain aaya jo rahm mujh par is mein bhi chaal hai kuchh sine pe hath rakh kar ab dil ko dhundte hain karte hain kar-e-farhad aasan zamin mein bhi mushkil-pasand hain hum mushkil ko dhundte hain ai khizr pai-e-khajista bahr-e-khuda karam kar bhatke hue musafir manzil ko dhundte hain dil-khwah tere ishwe dil-ju tere ishaare wo dil tatolte hain ye dil ko dhundte hain ai 'nazm' kya bataen hajj-o-tawaf apna kabe mein bhi kisi ki mahmil ko dhundte hain