is zat ke hisar se niklunga ek roz

is zat ke hisar se niklunga ek roz
patthar hata ke ghaar se niklunga ek roz

andar ki ek sada ka mujhe intizar hai
bahar ke intishaar se niklunga ek roz

shakhon ke phailne se mera qad nahin badha
malbus-e-barg-o-bar se niklunga ek roz

main bel ban ke tere dariche tak aaunga
pedon ki is qatar se niklunga ek roz

ye fasle to teri kashish kam na kar sake
ab to tere madar se niklunga ek roz

ek aks hun aur aansuon ke darmiyan hun
shoala hun aabshaar se niklunga ek roz

us sang-o-khisht se meri paiwastagi hai aur
nikla bhi to waqar se niklunga ek roz

ek raushni ka takht mujhe lene aaega
zindan-e-tang-o-tar se niklunga ek roz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close