isbaat mein bhi hai mera inkar har taraf

By salim-saleemFebruary 28, 2024
isbaat mein bhi hai mera inkar har taraf
main kar raha hun apni hi takrar har taraf
kya husn bik raha hai hawas ki dukan mein
kya ho rahi hai garmi-e-bazar har taraf


yun tha ki ek khayal-e-numu pa nahin saka
uljha pada hai matla'-e-izhaar har taraf
jaun kahan main khana-e-tanhai se ki hain
ghere hue mujhe dar-o-diwar har taraf


utthi hui hain mujh mein wo aatish-fishaniyan
sulge hue hain sabit-o-sayyar har taraf
67458 viewsghazalEnglish