ishq aashiq ko wo pur-kaif ada deta hai
By shahnawaz-ahmadOctober 9, 2023
'ishq 'ashiq ko wo pur-kaif ada deta hai
wo jise dekh le diwana bana deta hai
is se pahle ki bharen zakhm purane mere
ek naya rog koi dil ko laga deta hai
ba’d-az-marg pasheman hai mera qatil
ab mujhe jine ki din-raat du'a deta hai
kaisa sada hai ki mujh aise ko neki kah kar
subh-dam roz wo dariya mein baha deta hai
waqt darman hai to phir kyon ye guzarta lamha
shiddat-e-gham ko meri aur badha deta hai
main kahani ka wo kirdar hun jis ko darshak
bas theatre se nikalte hi bhula deta hai
bas isi baat se raushan hai 'nawaz' apni jabin
dhundhne walon ko kya kuchh na khuda deta hai

95831 viewsghazal • English