'ishq hai hum se to ye wahm guman kaise hain phir gile shikwe bata zer-e-zaban kaise hain tum to kahte the ki sab sukh gae hain lekin phir hamein dekh ke ye ashk rawan kaise hain jab raqibon se nahin hai koi rishta to bata rah mein phir tere qadmon ke nishan kaise hain kaun zindan mein ab mujh ko batae aa kar dost kaise hain mere dushman-e-jaan kaise hain nukta-chini jo kiya karte the har baat pe wo shahr ke mere sabhi ahl-e-zaban kaise hain fikr us ko hai bahut meri khabar hai mujh ko tum na kar dena bayan ja ke wahan kaise hain ye na kahna ki tadapte hain teri yaadon mein wo agar puchhe ki 'abrar' miyan kaise hain