ishq ka iKHtitam karte hain

By wazir-ali-saba-lakhnaviNovember 24, 2020
ishq ka ikhtitam karte hain
dil ka qissa tamam karte hain
qahr hai qatl-e-am karte hain
tark turki tamam karte hain


taq-e-abru se un ke dar-guzre
hum yahin se salam karte hain
shaikh us se panah mangte hain
barahman ram ram karte hain


jauhari par tere dur-e-dandan
aab-o-dana haram karte hain
khatt-e-qismat padha nahin jata
sirf mantiq tamam karte hain


ya ilahi halal hon waiz
dukht-e-raz haram karte hain
aap ki munh lagi hai dukhtar-e-raz
baaten honton se jam karte hain


chali duniya se hum pa-e-uqba
kuch bhar maqam karte hain
apne dil par hai ikhtiyar hamein
mulk ka intizam karte hain


qabil-e-guftugu raqib nahin
aap kis se kalam karte hain
raat bhar mere nala-e-pur-dard
nind un ki haram karte hain


zulm hi ahmaqon ki munh-zori
tang ye be-lagam karte hain
dil se rang-e-dui mitate hain
zakhm ka iltiyam karte hain


ai 'saba' kyun kisi ka dil toden
kabe ka ehtiram karte hain
41764 viewsghazalEnglish