ishq ka kaam baKHt-sazi hai

By mansha-ur-rahman-khan-manshaJune 15, 2022
ishq ka kaam bakht-sazi hai
is ki har baat imtiyazi hai
dil-gudazi-e-gham ka gham kya ho
gham ki fitrat hi dil-gudazi hai


har qadam par ye kasrat-e-jalwa
ehtimam-e-nazar-nawazi hai
jis ko kahte hain inqalab-e-hayat
ek junun ki karishma-sazi hai


us mein kya aae bu haqiqat ki
jo majazi hai wo majazi hai
lakh arman sahi magar ai dil
ishq-bazi phir ishq-bazi hai


sach to ye hai ki ek badi neamat
nigah-o-dil ki pak-bazi hai
rang ya husn ki haqiqat kya
sab nazar ki fusun-taraazi hai


faiz-e-'iqbaal' hai jo 'mansha' ka
naghma hindi hai lai hijazi hai
36846 viewsghazalEnglish