ishq ka kitna kaam paDa hai
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
'ishq ka kitna kaam pada hai
aur tasawwur jam pada hai
aaj usi ko phailaenge
zehn mein tera nam pada hai
ek kahani lae hain hum
tum pe koi anjam pada hai
maikhane ko dan karunga
tuta sa ek jam pada hai
bach ke nikalna ghar se bahar
chaukhat par ilzam pada hai
main aangan mein tahal raha hun
bistar par aaram pada hai
us nadan ko kaun batae
nim ke niche aam pada hai
aur tasawwur jam pada hai
aaj usi ko phailaenge
zehn mein tera nam pada hai
ek kahani lae hain hum
tum pe koi anjam pada hai
maikhane ko dan karunga
tuta sa ek jam pada hai
bach ke nikalna ghar se bahar
chaukhat par ilzam pada hai
main aangan mein tahal raha hun
bistar par aaram pada hai
us nadan ko kaun batae
nim ke niche aam pada hai
20633 viewsghazal • English