ishq ka ye dastur nahin hai

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
'ishq ka ye dastur nahin hai
koi bhi mansur nahin hai
ek nazar ai barq-e-tajalli
dil hai hamara tur nahin hai


khun hamara chhup na sakega
khun hai ye kafur nahin hai
rahi himmat haar na dijo
manzil ab kuchh dur nahin hai


husn ne dalin lakh naqaben
par dil se mastur nahin hai
aaj mujhe ai husn bata de
kya tu bhi majbur nahin hai


'maikash' kab majbur nahin tha
saqi to majbur nahin hai
62997 viewsghazalEnglish