ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi is qadar uljhan mein pahle zindagi dekhi na thi ye tamasha bhi ajab hai un ke uth jaane ke baad main ne din mein is se pahle tirgi dekhi na thi aap kya aae ki rukhsat sab andhere ho gae is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi aap se aankhen mili thin phir na jaane kya hua log kahte hain ki aisi be-khudi dekhi na thi mujh ko rukhsat kar rahe hain wo ajab andaz se aankh mein aansu labon par ye hansi dekhi na thi kis qadar khush hun main 'nasir' un ko pa lene ke baad aisa lagta hai kabhi aisi khushi dekhi na thi