ishq ki jaise hi tashhir hui
By samar-khanabadoshFebruary 28, 2024
'ishq ki jaise hi tashhir hui
zindagi ranj se ta'bir hui
dhup mein rakh ke koi bhul gaya
dil-lagi ki yahi ta'zir hui
dil ke aaine pe chahat ka dhamal
rang bikhra teri taswir hui
chashm-e-nam chand ghazal aur bayaz
‘ishq-zadon ki ye jagir hui
pad gai chehre pe aalam ki gard
bebasi panw ki zanjir hui
kuza-gar ne hi jise phenk diya
aisi mitti ki bhi tauqir hui
tere malbus ki afsurda mahak
shahr-e-kam-zarf ki taqdir hui
zindagi ranj se ta'bir hui
dhup mein rakh ke koi bhul gaya
dil-lagi ki yahi ta'zir hui
dil ke aaine pe chahat ka dhamal
rang bikhra teri taswir hui
chashm-e-nam chand ghazal aur bayaz
‘ishq-zadon ki ye jagir hui
pad gai chehre pe aalam ki gard
bebasi panw ki zanjir hui
kuza-gar ne hi jise phenk diya
aisi mitti ki bhi tauqir hui
tere malbus ki afsurda mahak
shahr-e-kam-zarf ki taqdir hui
81816 viewsghazal • English