ishq ki mayusiyon mein soz-e-pinhan kuchh nahin is hawa mein ye charagh-e-zer-e-daman kuchh nahin kya hai dekho hasrat-e-sair-e-gulistan kuchh nahin kuchh nahin ai sakinan-e-kunj-e-zindan kuchh nahin ishq ki hai khud-numai ishq ki aashuftagi ru-e-taban kuchh nahin zulf-e-pareshan kuchh nahin yaad aa hi jati hai aksar dil-e-barbaad ki yun to sach hai chand zarraat-e-pareshan kuchh nahin sach hai jo kuchh bhi hai wo hai garmi-e-bazar-e-husn ahl-e-dil ka soz-e-pinhan kuchh nahin han kuchh nahin aur un ki zindagi hai aur unwan-e-hayat khud-faramoshon ko tere ahd-o-paiman kuchh nahin ek ho jae na jab tak sarhad-e-hosh-o-junun ek ho kar chaak-e-daman-o-gareban kuchh nahin jo na ho jae wo kam hai jo bhi ho jae bahut kar-zar-e-ishq mein dushwar-o-asan kuchh nahin dekhni thi dekh li is chhed ki bhi sadgi be-dilon mein ye tabassum-ha-e-pinhan kuchh nahin kash apne dard se betab hote ai 'firaq' dusre ke hathon ye haal-e-pareshan kuchh nahin