ishq ko be-naqab hona tha aap apna jawab hona tha mast-e-jam-e-sharab hona tha be-khud-e-iztirab hona tha teri aankhon ka kuchh qusur nahin han mujhi ko kharab hona tha aao mil jao muskura ke gale ho chuka jo itab hona tha kucha-e-ishq mein nikal aaya jis ko khana-kharab hona tha mast-e-jam-e-sharab khak hote gharq-e-jam-e-sharab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang us ko sada kitab hona tha hum ne nakaamiyon ko dhund liya aakhirash kaamyab hona tha hae wo lamha-e-sukun ki jise mahshar-e-iztirab hona tha nigah-e-yar khud tadap uthti shart-e-awwal kharab hona tha kyun na hota sitam bhi be-payan karam-e-be-hisab hona tha kyun nazar hairaton mein dub gai mauj-e-sad-iztirab hona tha ho chuka roz-e-awwalin hi 'jigar' jis ko jitna kharab hona tha
Please share if you liked this!!!