ishq ko jitna bhi samjha humne

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
'ishq ko jitna bhi samjha hum ne
bewafai mein hi samjha hum ne
aankh khulne ko karamat jaana
subh ko wapsi samjha hum ne


wasl ke ba'd kiya wasl pe ghaur
hijr ko peshgi samjha hum ne
wo jo pahle se pata tha hum ko
dusron se wahi samjha hum ne


har palak pahli thi jhapkai jo
sans ko aakhiri samjha hum ne
aaj inkar kiya jaanne se
aaj kuchh waqa'i samjha hum ne


14610 viewsghazalEnglish