ishq mein dil-lagi si rahti hai gham bhi ho to khushi si rahti hai dil mein kuchh gudgudi si rahti hai munh par un ke hansi si rahti hai ye hua hai khuda khuda kar ke raat-din be-khudi si rahti hai hashr ke din bhi kuchh gunah kar lun masiyat mein kami si rahti hai sadqe main apne ghuncha-dil ke ye kali kuchh khili si rahti hai itni pi hai ki baad-e-tauba bhi be-piye be-khudi si rahti hai aish bhi ho to lutf-e-aish nahin har-dam afsurdagi si rahti hai shab-e-gham ki sahar mein nur kahan subh bhi sham hi si rahti hai ye nahin hai ki parda pad jae nashshe mein aagahi si rahti hai rahte hain gul lahad ke pazhmurda shama bhi kuchh bujhi si rahti hai ho gai kya bala mere ghar ko raat-din tirgi si rahti hai ab junun ki ewaz hai yaad-e-junun hath mein hathkadi si rahti hai kaf-e-pa se hina nahin chhutti aag ye kuchh dabi si rahti hai teri taswir ho ki tegh teri hum se har-dam khinchi si rahti hai badle botal ke ab haram mein 'riyaz' hath mein zamzami si rahti hai