ishq mein hasil-e-inkar se Dar jate hain
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
'ishq mein hasil-e-inkar se dar jate hain
hum gunahgar hain iqrar se dar jate hain
maut bar-haq hai jab aa jae hamein kya lekin
zindagi hum teri raftar se dar jate hain
apni wahshat ka sabab hum ko hai ma'lum magar
kya sabab hai dar-o-diwar se dar jate hain
naghma-e-zist pe jin jin ke thirakte hain qadam
daf'atan zist ke aasar se dar jate hain
kuchh tabi'at ki rawani se bhi khauf aata hai
kuchh mazamin ki yalghaar se dar jate hain
din mein phirte hain liye kasa-e-khali 'ahmar'
sham hote hi jo ghar-bar se dar jate hain

26021 viewsghazal • English