ishq mein iztirab ki duniya
By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
'ishq mein iztirab ki duniya
dusri hai 'azab ki duniya
ek ma'na mein donon hain mausum
meri duniya habab ki duniya
use chaha azal se chaha jise
marhaba intikhab ki duniya
shan mujh ko dikhata hai mahshar
al-madad iztirab ki duniya
badh gae jab hudud-e-hasti se
uth gai khud hijab ki duniya
'ishq mein jab wafa pe baat aai
ban gaya dil jawab ki duniya
is karam par bhi tum se ban na saki
kisi khana-kharab ki duniya
kaun shai mein nahin wo jalwa-pazir
hai riwajan hijab ki duniya
aane do waqt-e-pursish-e-a'mal
chashm-e-tar hai jawab ki duniya
dekh 'rafat' tu apna mustaqbil
ta-ba-kai ye shabab ki duniya
dusri hai 'azab ki duniya
ek ma'na mein donon hain mausum
meri duniya habab ki duniya
use chaha azal se chaha jise
marhaba intikhab ki duniya
shan mujh ko dikhata hai mahshar
al-madad iztirab ki duniya
badh gae jab hudud-e-hasti se
uth gai khud hijab ki duniya
'ishq mein jab wafa pe baat aai
ban gaya dil jawab ki duniya
is karam par bhi tum se ban na saki
kisi khana-kharab ki duniya
kaun shai mein nahin wo jalwa-pazir
hai riwajan hijab ki duniya
aane do waqt-e-pursish-e-a'mal
chashm-e-tar hai jawab ki duniya
dekh 'rafat' tu apna mustaqbil
ta-ba-kai ye shabab ki duniya
95088 viewsghazal • English