ishq mein jab bhi saneha hoga
By maikash-azmiSeptember 23, 2023
ishq mein jab bhi saneha hoga
dil hi tutega aur kya hoga
raat ko phone main nahin karta
wo koi khwab dekhta hoga
apni himmat jawan to rakkho
bahte dariya mein rasta hoga
us ko fursat kabhi nahin hogi
aadmi jo bhi kaam ka hoga
apne ghar mein bada to main hi hun
har koi mujh se hi khafa hoga
raat ke do baje hain 'maikash' ji
ab to wo sher kah raha hoga
dil hi tutega aur kya hoga
raat ko phone main nahin karta
wo koi khwab dekhta hoga
apni himmat jawan to rakkho
bahte dariya mein rasta hoga
us ko fursat kabhi nahin hogi
aadmi jo bhi kaam ka hoga
apne ghar mein bada to main hi hun
har koi mujh se hi khafa hoga
raat ke do baje hain 'maikash' ji
ab to wo sher kah raha hoga
77370 viewsghazal • English