ishq mein kya kaam karti aql-o-danai ki baat do-qadam aage chali izzat se ruswai ki baat waqt-e-mushkil ghair kya apne bhi dushman ban gae kah gaya hai josh mein diwana gahrai ki baat kaam karta hai tasawwur kaam aati hai nazar be-sabab hoti nahin hai jalwa-arai ki baat muskuraata hun to aankhon mein machal jate hain ashk dard mein ghul-mil gai hai ek harjai ki baat parda-dari ki numaish ho rahi hai roz-o-shab ek tamasha ban gai hai khud tamashai ki baat khud-bakhud pairon se rista hai 'khizar' mere lahu jab koi karta hai mujh se aabla-pai ki baat