ishq mein pas-e-jaan nahin hai durust
By shaikh-zahuruddin-hatimNovember 18, 2020
ishq mein pas-e-jaan nahin hai durust
is sukhan mein guman nahin hai durust
kisu mashrab mein aur mazhab mein
zulm ai mehrban nahin hai durust
dar na dushman kun kadkadane mein
bang murghi ke yan nahin hai durust
kai diwan kah chuka 'hatim'
ab talak par zaban nahin hai durust
is sukhan mein guman nahin hai durust
kisu mashrab mein aur mazhab mein
zulm ai mehrban nahin hai durust
dar na dushman kun kadkadane mein
bang murghi ke yan nahin hai durust
kai diwan kah chuka 'hatim'
ab talak par zaban nahin hai durust
15832 viewsghazal • English