ishq mein rabt-e-jism-o-jaan na raha

By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
'ishq mein rabt-e-jism-o-jaan na raha
apna apne pe mehrban na raha
husn kis shai se kab 'ayan na raha
wo nihan ho ke bhi nihan na raha


kab wafaen na kaamyab huin
kab tamasha-e-imtihan na raha
shan us mein bhi thi mohabbat ki
main jo aamada-e-fughan na raha


kab tere 'ishq ki na ki tauqir
kab main hasti se bad-guman na raha
har nafas thin maal par nazren
shadmani pe shadman na raha


kahiye is bekasi ko kya kahiye
main raha aur aashiyan na raha
allah allah sa’ubat-e-rah-e-'ishq
do qadam sath rahrawan na raha


zist se kya umid ulfat mein
dil sa jab dost mehrban na raha
de ke jaan 'ishq mein unhen paya
ye to sauda koi giran na raha


kab uthae na ranj ai 'rafat'
kis zamin par ye aasman na raha
80492 viewsghazalEnglish