ishq mein rah se jo lauT ke ghar jata hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
'ishq mein rah se jo laut ke ghar jata hai
zindagi-bhar ko pas-e-kucha-o-dar jata hai
log is shahr ke ab kam hi du'a mangte hain
chand is shahr se ab yunhi guzar jata hai
hijr mein aise andhere bhi na dekhe koi
dil munderon pe diye dekh ke dar jata hai
roz chadh jati hai ek aur parat suraj ki
roz diwar se ek saya utar jata hai
kaisi ninden hain ki band aankhen jagati hain mujhe
kaisa sapna hai ki har raat bikhar jata hai
yun guzarta hai bas ab dil se tere wasl ka dhyan
jaise pardes mein tyauhaar guzar jata hai
kasa-e-ranj hamesha raha labrez 'jamal'
aankh khali ho to dil dard se bhar jata hai

62206 viewsghazal • English