ishq ne KHub intiqam liya

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
'ishq ne khub intiqam liya
bewafa se wafa ka kaam liya
'ishq shayad isi ko kahte hain
aankh ne aankh ka salam liya


aur koi 'ilaj tha hi nahin
haar kar dil ne tera nam liya
'umr-bhar dushmanon ke sath rahe
aag se raushni ka kaam liya


girne wala hi tha shajar se main
kuchh parindon ne mujh ko tham liya
86060 viewsghazalEnglish