ishq phir rang wo laya hai ki ji jaane hai

ishq phir rang wo laya hai ki ji jaane hai
dil ka ye rang banaya hai ki ji jaane hai

naz uthane mein jafaen to uthain lekin
lutf bhi aisa uthaya hai ki ji jaane hai

zakhm us tegh-e-nigah ka mere dil ne hans kar
is maze-dari se khaya hai ki ji jaane hai

us ki duzdida nigah ne mere dil mein chhup kar
tir is dhab se lagaya hai ki ji jaane hai

baam par chadh ke tamashe ko hamein husn apna
is tamashe se dikhaya hai ki ji jaane hai

us ki furqat mein hamein charkh-e-sitamgar ne aah
ye rulaya, ye rulaya hai ki ji jaane hai

hukm chuppi ka hua shab to sahar tak hum ne
ratjaga aisa manaya hai ki ji jaane hai

talwe sahlane mein go ungh ke jhuk jhuk to pade
par maza bhi wo udaya hai ki ji jaane hai

ranj milne ke bahut dil ne sahe lek 'nazir'
yar bhi aisa milaya hai ki ji jaane hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close