ishq tha waqia bana Dala

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
'ishq tha waqi'a bana dala
aap ne kya se kya bana dala
aasman ko na chhu sake to kya
ek zina naya bana dala


jin ka da'wa hai paniyon pe hanuz
har taraf karbala bana dala
aadmi aadmi to ho pahle
aap ne to khuda bana dala


hijr mein kufr ye hua sarzad
tum gae dusra bana dala
us se ji bhar ke baat ki kal raat
shakl tha wo sada bana dala


har nae gham pe muskuraata hun
ek tamashe ne kya bana dala
35911 viewsghazalEnglish