isi liye tujhe deta hun dad nafrat ki ki tu ne ishq se pur-e'timad nafrat ki koi na dil se kisi ko nikal kar phenke kabhi na puri ho maula murad nafrat ki kabhi kabhi wo mujhe pyar itna deta tha kabhi kabhi bahut aati thi yaad nafrat ki gulab sukh gae hain hue hain khar hare hawas ne pyar mein dali hai khad nafrat ki ye dost barsar-e-paikar hone lag gae hain to wajh banne lagi hai fasad nafrat ki us ek shakhs ko chahunga ta-dam-e-akhir wo jis ne mujh se mohabbat ke baad nafrat ki na koi tir na sazish na tohmaten na hasad kisi ne mujh se badi be-swad nafrat ki ki us ka dard mohabbat ke dukh se thoda hai ye baat achchhi hai is na-murad nafrat ki main is liye bhi mohabbat se baz aa gaya tha ki us ke shahr mein milti thi dad nafrat ki