isi se ujda hua lala-zar hai shayad chaman se dur abhi tak bahaar hai shayad azal se gosh-bar-awaz hai jahan sara teri sada ka use intizar hai shayad usi se talib-e-jalwa pe bijliyan na girin abhi hijab hi mein wo nigar hai shayad pukarta hai zamana magar nahin sunta koi samand hawa par sawar hai shayad dua ko hath uthae hue hai ek bekas karam ka aap ke umid-war hai shayad pahunch gaya hai jo ud kar kisi ke daman tak wo meri khak-e-lahad ka ghubar hai shayad utha jo dar-e-fana se gaya wo su-e-adam musafiron ki yahi rahguzar hai shayad tere karam ne nawaza nahin jo ai saqi udas isi se tera mai-gusar hai shayad kalim-e-tur ne dekha tha ai 'tarab' jis ko usi hasin ka zamana shikar hai shayad