itna apna ho jata hun

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
itna apna ho jata hun
chadar takiya ho jata hun
tujh ko kamane ke chakkar mein
tera khasara ho jata hun


bazaron ki chamak-damak mein
aur purana ho jata hun
jis ki pith ho meri jaanib
us ka saya ho jata hun


khone tak to thik hai lekin
dhundhne wala ho jata hun
sach ki shakl badal jati hai
aur main jhuta ho jata hun


khud hi tamasha karte karte
mahw-e-tamasha ho jata hun
lagta ye hai mar jaunga
lekin achchha ho jata hun


79265 viewsghazalEnglish