itna bachchon pe dhyan dena hai

By arshad-rasool-badayuniOctober 27, 2023
itna bachchon pe dhyan dena hai
jaise khud imtihan dena hai
par hamare bhale hi kat jaen
hauslon ko udan dena hai


ab zarurat nahin hai sho'lon ki
ek bhadakta bayan dena hai
'ishq ki fasl ho gai barbaad
phir bhi hum ko lagan dena hai


khud ye bachche shikar kar lenge
hath mein bas kaman dena hai
hum 'adalat se khud nipat lenge
aap ko bas bayan dena hai


'ishq mein dil luta chuke 'arshad'
ab batao ki jaan dena hai
45087 viewsghazalEnglish