itna bhi na saqi hosh raha pi kar ye hamein mai-khana tha gardish mein hamari qismat thi chakkar mein tera paimana tha mahrum tha soz-e-ulfat se jal jaane se begana tha fanus ke andar shama rahi bahar bahar parwana tha mai-khane se hum rukhsat jo hue to aur hi kuchh mai-khana tha ek kone mein khum rakha tha ek goshe mein paimana tha hun rang-e-mohabbat se waqif hun soz-e-mohabbat se waqif gulzar mein bulbul main tha kabhi mahfil mein kabhi parwana tha daman mein jo chun kar rakhta tha sab jaib-o-gareban ke tukde hoshyar wahi diwana tha diwana wo kab diwana tha