itna na kar kisi ko shanasa ukheD se

By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
itna na kar kisi ko shanasa ukhed se
kuchh log ab bhi shahr mein rahte hain ped se
tujh-gham ne bachpane mein za'ifi nawaz di
warna jawani aati hai pahle adhed se


aazad ghumne de chara-gah-e-zist mein
kar tausan-e-khayal ko zakhmi na ed se
kar-e-rafu-gari ki na zahmat uthaiye
zakhmon ka ban gaya hai ta'alluq udhed se


zanjir-e-pa ne qaid kiya yun dimagh ko
phailaw ka khayal na aaya suked se
dil ki shikastagi ne bataya jahan ko
bachta nahin hai koi bhi shisha tared se


wo sanp aastin mein rahta to thik tha
lipta hua hai jo mere chandan ke ped se
phansta hai jald sho’bada-bazon ke jal mein
jo pahli bar shahr mein aaya ho khed se


wo shakhs gar khilaf hai mere to kya hua
padta nahin hai farq mujhe ek dedh se
apni ana ke hath se hota raha khajil
jab tak ki jaan chhut na pai khakhed se


jazbaat mein na aao ki ghaarat na ho kahin
jitna bhi tum ne kaam liya hai khaded se
94617 viewsghazalEnglish