itna tanhai se ghabrane lage hain
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
itna tanhai se ghabrane lage hain
be-zarurat kaam uljhane lage hain
jo bhanwar gahrai mein padte the pahle
ab kinare par nazar aane lage hain
koi to manzil ka rasta hai idhar se
raste ghar ki taraf jaane lage hain
yun bhi lazim hai naya koi tamasha
log bazigar se uktane lage hain
jo tere kuche ko jate the wo raste
dusri duniya mein le jaane lage hain
ho gaya hai maut ka ehsas shayad
jaldi jaldi kaam nimtane lage hain
be-zarurat kaam uljhane lage hain
jo bhanwar gahrai mein padte the pahle
ab kinare par nazar aane lage hain
koi to manzil ka rasta hai idhar se
raste ghar ki taraf jaane lage hain
yun bhi lazim hai naya koi tamasha
log bazigar se uktane lage hain
jo tere kuche ko jate the wo raste
dusri duniya mein le jaane lage hain
ho gaya hai maut ka ehsas shayad
jaldi jaldi kaam nimtane lage hain
44068 viewsghazal • English