itna tayyar to marne ko nahin hai koi
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
itna tayyar to marne ko nahin hai koi
naw hai par utarne ko nahin hai koi
hum se hi jashn hai maqtal mein zara rok ke hath
phir kahoge tumhein marne ko nahin hai koi
meri mitti se bahut khel chuki tez hawa
main yagana tha bikharne ko nahin hai koi
tarbiyat aisi ghulamon ko mili hai is bar
sab hain karne ko na karne ko nahin hai koi
der tak aaina deta hai sadaen mujh mein
tum na aao to sanwarne ko nahin hai koi
barf bhi aaj hi girni thi meri sanson mein
aaj to aag bhi bharne ko nahin hai koi
wa'da-e-wasl pe lab-mohr lagao meri jaan
ye lage to ki mukarne ko nahin hai koi

89504 viewsghazal • English