itna to zindagi mein kisi ke khalal pade hansne se ho sukun na rone se kal pade jis tarah hans raha hun main pi pi ke garm ashk yun dusra hanse to kaleja nikal pade ek tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai ek hum ki chal pade to bahar-haal chal pade saqi sabhi ko hai gham-e-tishna-labi magar mai hai usi ki nam pe jis ke ubal pade muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah ji khush to ho gaya magar aansu nikal pade