itne sahe hain gham ki main kaise karun hisab
By abu-hurrairah-abbasiSeptember 2, 2024
itne sahe hain gham ki main kaise karun hisab
ye she'r kah raha hun ki kuchh rakh sakun hisab
har har ghadi jo yaad mein guzri hai aap ki
in ungliyon ke poron pe sab ka rakhun hisab
lo aap mil gae hain hamein yun raqib-sang
bas baithiye main aap ka karta chalun hisab
hum ne to kar ke dekh li koshish yahan bahut
lekin raha yahan pe wahi jun ka tun hisab
apne liye be-mausam-o-be-waqt sab hai 'am
apne nasib ka hai bada wazhgun hisab
aae hisab hum se jo karne malaika
hum ne kaha ki ahl-e-jahannum se kyon hisab
duniya hamari yun to jahannum se kam na thi
munkir-nakir aap ka is par bhi yun hisab

23121 viewsghazal • English