itni qudrat jo jagmagati hai

By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
itni qudrat jo jagmagati hai
tel us ka usi ki baati hai
kitni nazuk hai sans ki dori
ek jhatke mein tut jati hai


dil ki dhadkan tujhe pata hai kya
teri hasti ko aazmati hai
shukr us ka na bhulna hargiz
subh tujh ko jo shai jagati hai


mujh ko har dam hi zindagi meri
apna aadha pata batati hai
jit jati hain nafraten har dam
bas mohabbat hi mat khati hai


maut tujh tak ye zindagi aakhir
kitni mushkil se khud ko lati hai
tut jaane ke dar se aksar hi
nind aate hi laut jati hai


70687 viewsghazalEnglish