itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua wo qissa-e-azadana-rawi, us zulf ke hathon pak hua kya kya na padha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua jis din se gaya wo jaan-e-ghazal har misre ki surat bigdi har lafz pareshan dikhta hai, is darja waraq namnak hua khush rahiyo sun ai baad-e-saba kahin aur tu apne naz dikha tu jis ke baal udati thi wo shakhs to kab ka khak hua