ja-ba-ja zulmaton ka Dera hai
By nushur-wahidiJanuary 4, 2024
ja-ba-ja zulmaton ka dera hai
bujh gai sham'-e-gham andhera hai
'ishq ek karwan-e-agahi
husn ek be-khabar lutera hai
shahr ki khush-nasib galiyon mein
hum se bad-qismaton ka phera hai
ek zamana hua hai ruthe hue
ab bhi aa jaiye sawera hai
ek lamhe ki raushni hai 'nushur'
waqt ek mustaqil andhera hai
bujh gai sham'-e-gham andhera hai
'ishq ek karwan-e-agahi
husn ek be-khabar lutera hai
shahr ki khush-nasib galiyon mein
hum se bad-qismaton ka phera hai
ek zamana hua hai ruthe hue
ab bhi aa jaiye sawera hai
ek lamhe ki raushni hai 'nushur'
waqt ek mustaqil andhera hai
17881 viewsghazal • English