ja ke phir laut jo aae wo zamana kaisa teri aaankhon ne ye chheda hai fasana kaisa aankh sarshaar-e-tamanna hai to wada kar le chaal kahti hai ki ab laut ke aana kaisa mujh se kahta hai ki sae ki tarah sath hain hum yun na milne ka nikala hai bahana kaisa us ka shikwa to nahin hai na mile tum hum se ranj us ka hai ki tum ne hamein jaana kaisa khud bhi socha tha bahut us ne bhi puchha tha bahut haal jab khud hi na samjhe to sunana kaisa tujh ko pane ki hawas thi so kise tha malum apne hi aap ko kho baithenge pana kaisa