jaan-kani ka pasina hai aur lamha lamha Tapakta hua waqt hai

By abid-razaFebruary 17, 2025
jaan-kani ka pasina hai aur lamha lamha tapakta hua waqt hai
maut hai sach ki hurmat ka pahla sukhan dusra waqt hai
zuhl ke kasa-e-nahs mein shahr-e-zulmat khamosh hai
ek andha magar chikhta hai ki logo bura waqt hai


apne mushki ko mahmez de kar zara ek nazar dekh lun
kitne nuri baras ki masafat pe thahra hua waqt hai
ibn-e-adam ka wirsa hai paighambari waqt aur imtihan
hausle ka 'asa ab na tute ki aage kada waqt hai


khun mein tar lashkari zindagi ki fasilon pe sote hain kyon
raat din mil rahe hain yahan is ghadi jhutputa waqt hai
hum jo zinda the masruf the har nafas kar-e-bekar mein
aur ab mar chuke hain to lagta hai jaise bada waqt hai


koh-e-awargi tere daman mein kab se hun main khema-zan
raat dhalti nahin din guzarta nahin jaane kya waqt hai
ek muddat hui pyar ke shahr mein us se bichhde hue
do ghadi ke liye gar mile wo kahin puchhna waqt hai


15965 viewsghazalEnglish