jaan se khel gaya ek diwana aaKHir
By tariq-islam-kukraviMarch 1, 2024
jaan se khel gaya ek diwana aakhir
kab talak yunhi sar-e-bazm sisakta aakhir
aa ke ek bar dikha dijiye chehra aakhir
sirf baqi hai yahi dil mein tamanna aakhir
bas isi soch mein din-raat nikal jate hain
kaise hal hoga mere dil ka mu'amma aakhir
main ne mana ki wo har baat ko manega magar
dil ko samjhane ka bhi aae tariqa aakhir
ek na ek roz to jaana hi padega 'tariq'
khatm ho jaega ek roz ye jalwa aakhir

12048 viewsghazal • English