jaan yun libas-e-jism ko nikli utar kar

By quaiser-khalidNovember 13, 2020
jaan yun libas-e-jism ko nikli utar kar
jaise koi sarae mein ek shab guzar kar
haalat ne libas to mela kiya magar
kirdar phir bhi rakkha hai hum ne sanwar kar


mear aaj-kal to badai ka hai yahi
apni har ek baat ko tu ishtihaar kar
gar ho sake to de unhen ummid ki kiran
baithe hon zindagani se apni jo haar kar


duniya bahut badi hai kahin kar talash-e-rizq
haalat kuchh hon in pe na ab inhisar kar
ye bhi to hai ana ko kuchalne ka ek taur
nafrat rahi hai jis se usi ko tu pyar kar


jo zakhm dushmanon se mile un ko tu na dekh
jo doston ne bakhshe hain un ka shumar kar
ummid roz ek nai le ke jagiye
nakaamiyon ke bojh ko sar se utar kar


har koi aansuon ki zaban jaanta nahin
aankhen kisi ke samne mat aabshaar kar
apne nahin to aur kisi ke liye bhi ji
'khalid' rawish ek aisi bhi ab ikhtiyar kar


78249 viewsghazalEnglish