jaana hai aaj aana hai kal kuchh to bol ja

By bilal-sabirMarch 1, 2024
jaana hai aaj aana hai kal kuchh to bol ja
ai mere masale mere hal kuchh to bol ja
ye sina mera sunta hai sine ki guftugu
tu khamushi se aaj na tal kuchh to bol ja


wo aankhen meri aankhon mein kahti thin dub kar
ab bol bol ab na sanbhal kuchh to bol ja
ek sans chikhti thi main chup aa raha tha jab
suraj-mukhi gulab kanwal kuchh to bol ja


tu qafiyon ki dewi hai matruk bahr mein
mujh par ghazal nahin to hazal kuchh to bol ja
12954 viewsghazalEnglish