jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar aaina ban gaya hun meri dekh-bhaal kar apni hi rahguzar ke bujhata hai kyun charagh har raste se mera guzarna muhaal kar ek roz aisa ho ki charaghon ke ru-ba-ru kuchh mein hunar karun koi tu bhi kamal kar tahwil-e-intizar mein kab tak rahegi aankh mere supurd meri nazar ka maal kar dar hai kahin main dasht ki jaanib nikal na jaun baitha hun apne panw mein zanjir dal kar 'mohsin' bure dinon mein naya dost kaun ho hai jis ka pahla qarz usi se sawal kar