jaane diye ne bola kya

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jaane diye ne bola kya
aur hawa ne samjha kya
paida kar inkar koi
khali shor-sharaba kya


jis ke liye parwaz na ho
aisa aab-o-dana kya
tod diya lutne ke ba'd
darwaze ka hota kya


kis matlab ke ‘arz-o-tul
aab nahin to dariya kya
dur talak nila aakash
itna bada bhi parda kya


hum bhi mitti tum bhi rakh
tez hawa ka shikwa kya
us ki gali mein aa gae kaam
aur hamara hota kya


afzal hai dil ki begar
'ishq mein ghata-wata kya
26623 viewsghazalEnglish