jaane kahan the aur chale the kahan se hum

By ahmad-nadeem-qasmiOctober 23, 2020
jaane kahan the aur chale the kahan se hum
bedar ho gae kisi khwab-e-giran se hum
ai nau-bahaar-e-naz teri nikhaton ki khair
daman jhatak ke nikle tere gulsitan se hum


pindar-e-ashiqi ki amanat hai aah-e-sard
ye tir aaj chhod rahe hain kaman se hum
aao ghubar-e-rah mein dhunden shamim-e-naz
aao khabar bahaar ki puchhen khizan se hum


aakhir dua karen bhi to kis muddaa ke sath
kaise zamin ki baat kahen aasman se hum
88423 viewsghazalEnglish