jaane kin be-wafaon ka charcha kiya

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
jaane kin be-wafaon ka charcha kiya
jaante bhi na the jin ko ruswa kiya
khud ko sach-much ka 'ashiq samajhne lage
hum ne 'ashiq ka kirdar itna kiya


sab mujhe be-zaban jaan kar uth gae
main ne jab tak kisi par bharosa kiya
tum masiha ho mere batao mujhe
tum ne kyon ek qatil ko zinda kiya


bas wo me'yar qaim nahin rakh saka
us ne pahla tamasha to achchha kiya
64183 viewsghazalEnglish